Monday 31 March 2014

MAAN......

Labon par uske kabhi bad’dua nahin hoti,
Bas ek maa hai jo kabhi khafa nahin hoti.
Iss tarah mere gunaahon ko woh dho deti hai,
Maa bahut gusse mein hoti hai toh ro deti hai.
Maine rote hue ponchhe the kisi din aansoo,
Muddaton maa ne nahin dhoya dupatta apna.
Abhi zinda hai maa meri mujhe kuchh bhi nahin hoga,
Main jab ghar se nikalta hun dua bhi saath chalti hai.
Jab bhi kashti meri sailaab mein aa jaati hai,
Maa dua karti hui khwaab mein aa jaati hai. !!